Azaab ye bhi kisi aur par nahin aaya,
Ke ek umr chale aur ghar nahin aaya..
Us ek khwab ki hasrat mein jal bujhin aankhein,
Wo ek khwab ke ab tak nazar nahin aaya..
Karein to kis se karein na-rasaaiyon ka gila,
Safar tamaam hua hum-safar nahin aaya..
Dilo'n ki baat badan ki zabaan se kah dete,
Ye chahte the magar dil idhar nahin aaya..
Ajeeb hi tha mere daur-e-gumraahi ka rafeeq,
Bichhad gaya to kabhi laut kar nahin aaya..
Hareem-e-lafz-o-maani se nisbatein bhi rahin,
Magar saleeqa-e-arz-e-hunar nahin aaya.!!
"Iftikhaar Arif"
__________
Hareem-e-lafz-o-maani = region of word & meaning,
No comments:
Post a Comment