Monday, June 11, 2018

Ek Hi Muzhda Subah Laati Hai

Ek hi muzhda subah laati hai,
Dhoop aangan mein phail jaati hai..

Rang-e-mausam hai aur baad-e-saba,
Shahar koochon mein khaak udaati hai..

Farsh par kaaghaz udte phirte hain,
Mez par gard jamti jaati hai..

Sochta hun ke us ki yaad aakhir,
Ab kise raat bhar jagaati hai..

Main bhi izn-e-nawa-gari chaahun,
Be-dili bhi to lab hilaati hai..

So gaye ped jaag uthi khushbu,
Zindagi khwab kyun dikhaati hai..

Us sarapa wafa ki furqat mein,
Khwahish-e-ghair kyun sataati hai..

Aap apne se hum-sukhan rahna,
Hum-nasheen saans phool jaati hai..

Kya sitam hai ke ab teri surat,
Ghaur karne pe yaad aati hai..

Kaun is ghar ki dekh-bhaal kare,
Roz ek cheez toot jaati hai.!!

"Jaun Eliya"
__________

Muzhda = good news, good tidings,
Izn-e-nawa-gari = Permission to sing,

4 comments:

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...