Monday, June 11, 2018

Dil-e-barbaad Ko Aabaad Kiya Hai Main Ne

Dil-e-barbaad ko aabaad kiya hai main ne,
Aaj muddat mein tumhein yaad kiya hai main ne..

Zauq-e-parwaaz-e-taab-o-taab ata farma kar,
Said ko laaiq-e-sayyaad kiya hai main ne..

Talkhi-e-daur-e-guzishta ka tasawwur kar ke,
Dil ko phir maail-e-fariyaad kiya hai main ne..

Aaj is soz-e-tasawwur ki khushi mein ai dost,
Taair-e-sabr ko aazaad kiya hai main ne..

Ho ke israar-e-ghum-e-taaza se majboor-e-fughaa'n,
Chashm ko ashk-e-tar imdaad kiya hai main ne..

Tum jise kahte the hangama-pasandi meri,
Phir wahi tarz-e-ghum ijaad kiya hai main ne..

Phir gawara hai mujhe ishq ki har ek mushkil,
Taaza phir shewa-e-farhaad kiya hai main ne.!!

"Jaun Eliya"
_________

Zauq-e-parwaaz-e-tab-o-taab = Taste ;passion for flight full of splendour, 
Said = game, prey, quarry, hunting,
Laaiq-e-sayyaad = Worthy of hunter,
Talkhi-e-daur-e-guzishta = bitterness of past times,
Maail-e-fariyaad = inclined to appeal,
Soz-e-tasawwur = burning; inflammation; fervour of fancy; imagination,
Taair-e-sabr = bird of patience,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...