Monday, June 11, 2018

Ek Hunar Hai Jo Kar Gaya Hun Main

Ek hunar hai jo kar gaya hun main,
Sab ke dil se utar gaya hun main..

Kaise apni hansi ko zabt karun,
Sun raha hun ke ghir gaya hun main..

Kya bataaun ke mar nahin paata,
Jeete-ji jab se mar gaya hun main..

Ab hai bas apna saamna dar-pesh,
Har kisi se guzar gaya hun main..

Wahi naaz-o-ada wahi ghamze,
Sar-ba-sar aap par gaya hun main..

Ajab ilzaam hun zamane ka,
Ke yahan sab ke sar gaya hun main..

Kabhi khud tak pahunch nahin paya,
Jab ke waan umr bhar gaya hun main..

Tum se jaanaa mila hun jis din se,
Be-tarah khud se darr gaya hun main..

Ku-e-jaanaa mein sog barpa hai,
Ke achanak sudhar gaya hun main.!!

"Jaun Eliya"
__________

Ghamze = amorous glances, coquetry,
Be-tarah = excessively/ badly/ intensely,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...