Door se aankhein dikhati hai nayi duniya mujhe,
Gulshan-e-hasti nazar aata hai ek sahra mujhe..
Aql ki waadi mein hun gum-karda-e-maqsood-e-ishq,
Dhundhta hun aur nahin milta koi rasta mujhe..
Ye bhi ek dhokha tha nairang-e-tilism-e-aql ka,
Apni hasti par bhi hasti ka hua dhokha mujhe..
Shauq mera taalib-e-deedar ho jaata agar,
Dekhta 'Musa' mujhe seena mujhe jalwa mujhe..
Shaairi kya kafsh-e-bardaar-e-giraami hun 'Hafeez',
Be-kamaali ke siwa koi nahin daawa mujhe.!!
"Hafeez Jalandhari"
__________
Nairang-e-tilism-e-aql = wisdom of magic of fascination /anything new or strange,,
Kafsh-e-bardaar-e-giraami = shoe of carrier of a famous person,
No comments:
Post a Comment