Wednesday, June 6, 2018

Dosti Ka Chalan Raha Hi Nahin

Dosti ka chalan raha hi nahin,
Ab zamane ki wo hawa hi nahin..

Sach to ye hai sanam-kade waalo,
Dil khuda ne tumhein diya hi nahin..

Palat aane se ho gaya saabit,
Naama-bar tu wahaan gaya hi nahin..

Haal ye hai ke hum ghareebon ka,
Haal tum ne kabhi suna hi nahin..

Kya chale zor dasht-e-wahshat ka,
Hum ne daaman kabhi siya hi nahin..

Ghair bhi ek din marenge zaroor,
Un ke hisse mein kya qaza hi nahin..

Us ki surat ko dekhta hun main,
Meri seerat wo dekhta hi nahin..

Ishq mera hai shahar mein mashhoor,
Aur tum ne abhi suna hi nahin..

Qissa-e-'Qais' sun ke farmaya,
Jhooth ki koi intiha hi nahin..

Waasta kis ka dein 'Hafeez' un ko,
Un buto'n ka koi khuda hi nahin.!!

"Hafeez Jalandhari"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...