Dil-e-be-muddaa hai aur main hun,
Magar lab par dua hai aur main hun..
Na saaqi hai na ab wo shay hai baaqi,
Mera daur aa gaya hai aur main hun..
Udhar duniya hai aur duniya ke bande,
Idhar mera khuda hai aur main hun..
Koi pursaa'n nahin peer-e-mughaa'n ka,
Faqat meri wafa hai aur main hun..
Abhi miaad baaqi hai sitam ki,
Mohabbat ki saza hai aur main hun..
Na puchho haal mera kuchh na puchho,
Ke tasleem o raza hai aur main hun..
Ye tool-e-umr na-ma'aqool o be-kaif,
Buzurgon ki dua hai aur main hun..
Lahu ke ghoont peena aur jeena,
Musalsal ek maza hai aur main hun..
'Hafeez' aisi falaakat ke dinon mein,
Faqat shukr-e-khuda hai aur main hun.!!
"Hafeez Jalandhari"
__________
Dil-e-be-muddaa = a heart without desire,
Pursaa'n = ask,
Na-ma'aqool = unreasonable, imper-tinent, improper,
Be-kaif = Joyless, Languid,
Falaakat = misfortune, disgrace, adversity,
No comments:
Post a Comment