Wednesday, June 6, 2018

Dil Se Tera Khyaal Na Jaaye To Kya Karun

Dil se tera khyaal na jaaye to kya karun,
Main kya karun koi na bataye to kya karun..

Ummid-e-dil-nasheen sahi duniya haseen sahi,
Tere baghair kuchh bhi na bhaaye to kya karun..

Dil ko khuda ki yaad tale bhi daba chuka,
Kam-bakht phir bhi chain na paaye to kya karun..

Din ho ke raat ek mulaqaat ki hai baat,
Itni si baat bhi na ban aaye to kya karun..

Jo kuchh bana diya hai tere intizaar ne,
Ab sochta hun tu idhar aaye to kya karun..

Deeda-waraa'n-e-but-kada ek mashwara to do,
Kaaba jhalak yahaan bhi dikhaye to kya karun..

Apni nafi to falsafi ji qatl-e-nafs hai,
Kahiye koi ye jurm sujhaye to kya karun..

Ye haye haye mazhaka-angez hai to ho,
Dil se uthe zabaan jalaye to kya karun..

Main kya karun main kya karun gardaan ban gayi,
Main kya karun koi na bataye to kya karun..

Akhbaar se meri khabar-e-marg ai 'Hafeez',
Mera hi dost padh ke sunaye to kya karun.!!

"Hafeez Jalandhari"
__________

Nafi = forbidding, denial, subtraction, refusal,
Mazhaka-angez = ridiculous, laughable,
Gardaan = turning back, revision,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...