Dil se hai bahut gurez-pa tu,
Tu kaun hai aur hai bhi kya tu..
Kyun mujh mein ganwa raha hai khud ko,
Mujh aise yahaan hazaar-ha tu,
Hai teri judaai aur main hun,
Milte hi kahin bichhad gaya tu..
Poochhe jo tujhe koi zara bhi,
Jab main na rahun to dekhna tu..
Ek saans hi bas liya hai main ne,
Tu saans na tha so kya hua tu..
Hai kaun jo tera dhyaan rakhe,
Baahar mere bas kahin na ja tu.!!
"Jaun Eliya"
No comments:
Post a Comment