Dil pareshaa'n hai kya kiya jaaye,
Aql hairaa'n hai kya kiya jaaye..
Shauq-e-mushkil-pasand un ka husool,
Sakht aasaa'n hai kya kiya jaaye..
Ishq-e-khoobaa'n ke saath hi hum mein,
Naaz-e-khoobaa'n hai kya kiya jaaye..
Be-sabab hi meri tabiyat-e-ghum,
Sab se naalaa'n hai kya kiya jaaye..
Bawajood un ki dil-nawaazi ke,
Dil gurezaa'n hai kya kiya jaaye..
Main to naqd-e-hayat laaya tha,
Jins-e-arzaa'n hai kya kiya jaaye..
Hum samajhte the ishq ko dushwaar,
Ye bhi aasaa'n hai kya kiya jaaye..
Wo bahaaron ki naaz-parwarda,
Hum pe naazaa'n hai kya kiya jaaye,
Misr-e-lutf-o-karam mein bhi ai 'Jaun',
Yaad-e-kan'aan hai kya kiya jaaye.!!
"Jaun Eliya"
__________
Ishq-e-khoobaa'n = love of beauties,
Naaz-e-khoobaa'n = pride of beauties,
Naalaa'n = lamenting, groaning, moaning,
Dil-nawaazi = heart pleasing,
Gurezaa'n = fleeing, perverse mood, run away from, Escape from,
Naazaa'n = proud, conceited, arrogant,
No comments:
Post a Comment