Dil ne wafa ke naam par kaar-e-wafa nahin kiya,
Khud ko halaak kar liya khud ko fida nahin kiya..
Kheera-saraan-e-shauq ka koi nahin hai jumba-daar,
Shahar mein is giroh ne kis ko khafa nahin kiya..
Jo bhi ho tum pe motariz us ko yahi jawaab do,
Aap bahut shareef hain aap ne kya nahin kiya..
Nisbat ilm hai bahut haakim-e-waqt ko azeez,
Us ne to kaar-e-jahl bhi be-ulema nahin kiya..
Jis ko bhi shaikh o shaah ne hukm-e-khuda diya qaraar,
Hum ne nahin kya wo kaam haan ba-khuda nahin kiya.!!
"Jaun Eliya"
__________
Kheera-saraan-e-shauq = excellent in love,
Jumba-daar = well wisher, supporter,
Motariz = critique/ objector,
Kaar-e-jahl = work of ignoramuses; ignorant,
Be-ulema = without wise,
No comments:
Post a Comment