Monday, June 11, 2018

Dil Ne Kiya Hai Qasd-e-safar, Ghar Samet Lo

Dil ne kiya hai qasd-e-safar, ghar samet lo,
Jaana hai is dayaar se, manzar samet lo.. 

Aazaadgi mein shart bhi hai ahtiyaat ki,
Parwaaz ka hai izn magar par samet lo..

Hamla hai chaar su dar-o-deewar-e-shahr ka,
Sab jangalo'n ko shahr ke andar samet lo..

Bikhra hua hun sarsar-e-shaam-e-firaaq se,
Ab aa bhi jao aur mujhe aa kar samet lo..

Rakhta nahin hai koi na-gufta ka yaan hisaab,
Jo kuchh hai dil mein us ko labo'n par samet lo.!!

"Jaun Eliya"
__________

Qasd-e-safar = intention to journey,
Izn = permission, leave, invitation,
Sarsar-e-shaam-e-firaaq = sound of reed-pen on evening of separation,
Na-gufta = unsaid,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...