Dil ko duniya ka hai safar darpesh,
Aur chaaron taraf hai ghar darpesh..
Hai ye aalam ajeeb aur yahaan,
Maajra hai ajeeb-tar darpesh..
Do jahaan se guzar gaya phir bhi,
Main raha khud ko umr bhar darpesh..
Ab main ku-e-abas shitaab chalun,
Kayi ek kaam hain udhar darpesh..
Us ke deedar ki ummid kahaan,
Jab ke hai deed ko nazar darpesh..
Ab meri jaan bach gayi yaani,
Ek qaatil ki hai sipar darpesh..
Kis tarah kuch par kamar baandhun,
Ek rahzan ki hai kamar darpesh..
Khalwat-e-naaz aur aaina,
Khud-nigar ko hai khud-nigar darpesh.!!
"Jaun Eliya"
__________
Darpesh = placed before, under consideration,
Ku-e-abas = street of futility,
Shitaab = quick, speedy, haste,
Khalwat-e-naaz = private meeting with beloved,
Khud-nigar = selfish, self centered, narcissist,
No comments:
Post a Comment