Sunday, June 24, 2018

Haayel Thi Beech Mein Jo Razaai Tamam Shab

Haayel thi beech mein jo razaai tamam shab,
Is ghum se hum ko neend na aai tamam shab..

Ki yaas se hawas ne ladaai tamam shab,
Tum ne to khoob raah dikhaai tamam shab..

Phir bhi to khatm ho na saki aarzu ki baat,
Har chand hum ne un ko sunaai tamam shab..

Bebaak milte hi jo hue hum to sharm se,
Aankh us pari ne phir na milaai tamam shab..

Dil khoob jaanta hai ke tum kis khyaal se, 
Karte rahe adu ki buraai tamam shab..

Phir shaam hi se kyun wo chale the chhuda ke haath,
Dukhti rahi jo un ki kalaai tamam shab..

'Hasrat' se kuchh wo aate hi aise hue khafa,
Phir ho saki na un se safaai tamam shab.!!

"Hasrat Mohani"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...