Dil abhi tak jawaan hai pyare,
Kis musibat mein jaan hai pyare..
Tu mere haal ka khyaal na kar,
Is mein bhi ek shaan hai pyare..
Talkh kar di hai zindagi jis ne,
Kitni meethi zabaan hai pyare..
Waqt kam hai na chhed hijr ki baat,
Ye badi dastaan hai pyare..
Jaane kya kah diya tha roz-e-azal,
Aaj tak imtihaan hai pyare..
Hum hain bande magar tere bande,
Ye humari bhi shaan hai pyare..
Naam hai is ka naaseh-e-mushfiq,
Ye mera mehrbaan hai pyare..
Kab kiya main ne ishq ka daawa,
Tera apna gumaan hai pyare..
Main tujhe bewafa nahin kahta,
Dushmanon ka bayaan hai pyare..
Saari duniya ko hai ghalat-fahmi,
Mujh pe tu mehrbaan hai pyare..
Tere koiche mein hai sukoon warna,
Har zameen aasmaan hai pyare..
Khair fariyaad be-asar hi sahi,
Zindagi ka nishaan hai pyare..
Sharm hai ahtiraaz hai kya hai,
Parda sa darmiyaan hai pyare..
Arz-e-matlab samajh ke ho na khafa,
Ye to ek dastaan hai pyare..
Jang chhid jaaye hum agar kah dein,
Ye humari zabaan hai pyare.!!
"Hafeez Jalandhari"
__________
Naaseh-e-mushfiq = affectionate advisor,
Ahtiraaz = to avoid,
Arz-e-matlab = expression of desire,
No comments:
Post a Comment