Wednesday, June 6, 2018

Chale The Hum Ke Sair-e-gulshan-e-ijaad Karte Hain

Chale the hum ke sair-e-gulshan-e-ijaad karte hain,
Ke itne mein ajal aa kar pukaari yaad karte hain..

Hujoom-e-aarzu se shahr-e-dil aabaad karte hain,
Hum apni khaak apne haath se barbaad karte hain..

Taraf-daari na kar insaaf kar ai daawar-e-mahshar,
Saza de in buto'n ko warna hum fariyaad karte hain..

Kabhi to rang layega kabhi to gul khilayega,
Hum apna khoon sarf-e-gulshan-e-ijaad karte hain..

Humein to kaar-pardazaan-e-qudrat khel samjhe hain,
Kabhi aabaad karte hain kabhi barbaad karte hain..

Kisi ummid par zinda rahun ya ghut ke mar jaaun,
Wo kya kahte hain ai qaasid wo kya irshaad karte hain..

'Hafeez' apni tabiyat par mujhe khud rashk aata hai,
Mere ash'aar par hazrat hamesha saad karte hain.!!

"Hafeez Jalandhari"
__________

Kaar-pardazaan-e-qudrat = Managers; agents of nature,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...