Dhoop uthata hun ke ab sar pe koi baar nahin,
Beech deewar hai aur saya-e-deewar nahin..
Shahar ki gasht mein hain subah se saare mansoor,
Ab to mansoor wahi hai jo sar-e-daar nahin..
Mat suno mujh se jo aazaar utbane honge,
Ab ke aazaar ye phaila hai ke aazaar nahin..
Sochta hun ke bhala umr ka haasil kya tha,
Umr bhar saans liye aur koi ambaar nahin..
Jin dukaano'n ne lagaye the nigaah mein bazaar,
Un dukaano.n ka ye rona hai ke bazaar nahin..
Ab wo haalat hai ke thak kar main khuda ho jaaun,
Koi dildaar nahin koi dil-aazaar nahin..
Mujh se tum kaam na lo kaam mein lao mujh ko,
Koi to shahar mein aisa hai ke be-kaar nahin..
Yaad-e-aashob ka aalam to wo aalam hai ke ab,
Yaad masto'n ko teri yaad bhi darkaar nahin..
Waqt ko sood pe de aur na rakh koi hisaab,
Ab bhala kaisa ziyaa'n koi kharidaar nahin.!!
"Jaun Eliya"
lodcecont_za Michelle Brown Download
ReplyDeleteobinocet