Deed ki ek aan mein kaar-e-dawaam ho gaya,
Wo bhi tamaam ho gaya main bhi tamaam ho gaya..
Ab main hun ek azaab mein aur ajab azaab mein,
Jannat-e-pur-sukoot mein mujh se kalaam ho gaya..
Aah wo aish-e-raaz-e-jaan haye wo aish-e-raaz-e-jaan,
Haye wo aish-e-raaz-e-jaan shahar mein aam ho gaya..
Rishta-e-rang-e-jaan mera nik'hat-e-naaz se teri,
Pukhta hua aur is qadar yaani ki khaam ho gaya..
Poochh na wasl ka hisaab haal hai ab bahut kharaab..
Rishta-e-jism-o-jaan ke beech jism haraam ho gaya..
Shahar ki dastaan na poochh hai ye ajeeb dastaan,
Aane se shahryaar ke shahar ghulaam ho gaya..
Dil ki kahaniyan banin koocha-ba-koocha ku-ba-ku,
Sah ke malaal-e-shahar ko shahar mein naam ho gaya..
'Jaun' ki tishnagi ka tha khoob hi maajra ke jo,
Meena-ba-meena may-ba-may jaam-ba-jaam ho gaya.!!
Naaf-pyaale ko tere dekh liya mughaa'n ne jaan,
Saare hi may-kade ka aaj kaam tamaam ho gaya..
Us ki nigah uth gayi aur mein uth ke rah gaya,
Meri nigah jhuk gayi aur salaam ho gaya.!!
"Jaun Eliya"
__________
Kaar-e-dawaam = work of eternity,
Jannat-e-pur-sukoot = paradise full of peace,
Aish-e-raaz-e-jaan = comfort of knowing secret of life,
Rishta-e-rang-e-jaan = relationship of color of life,
Nik'hat-e-naaz = fragrance of love,
Khaam = raw, unripe, green, crude,
Shahryaar = a prince, a king,
No comments:
Post a Comment