Daulat-e-dahr sab lutaai hai,
Main ne dil ki kamaai khaai hai..
Ek lamhe ko teer karne mein,
Main ne ek zindagi ganwaai hai..
Wo jo sarmaya-e-dil-o-jaan thi,
Ab wahi aarzu paraai hai..
Tu hai aakhir kahaan ke aaj mujhe,
Be-tarah apni yaad aai hai..
Jaan-e-jaan tujh se du-badu ho kar,
Main ne khud se shikast khaai hai..
Ishq mere gumaan mein yaraa'n,
Dil ki ek zor aazmaai hai..
Us mein rah kar bhi main nahin us mein,
Jaaniye dil mein kya samaai hai..
Mauj-e-baad-e-saba pe ho ke sawaar,
Wo shamim-e-khyaal aai hai..
Sharm kar tu ke dasht-e-haalat mein,
Teri laila ne khaak udaai hai..
Bik nahin pa raha tha so main ne,
Apni qeemat bahut badhaai hai..
Wo jo tha 'Jaun' wo kahin bhi na tha,
Husn ek khwab ki judaai hai.!!
"Jaun Eliya"
No comments:
Post a Comment