Dekh humare maathe par ye dasht-e-talab ki dhool miyaan,
Hum se ajab tera dard ka naata dekh humein mat bhool miyaan..
Ahl-e-wafa se baat na karna hoga tera usool miyaan,
Hum kyun chhoden un galiyon ke pheron ka mamool miyaan..
Yunhi to nahin dasht mein pahunche yunhi to nahin jog liya,
Basti basti kaante dekhe jangal jangal phool miyaan..
Ye to kaho kabhi ishq kiya hai jag mein hue ho ruswa bhi?
Is ke siwa hum kuchh bhi na puchhein baaqi baat fuzool miyaan..
Nasb karein mehraab-e-tamanna deeda o dil ko farsh karein,
Sunte hain wo ku-e-wafa mein aaj karenge nuzool miyaan..
Sun to liya kisi naar ki khaatir kaata koh nikaali nahr,
Ek zara se qisse ko ab dete kyun ho tool miyaan..
Khelne dein unhein ishq ki baazi khelenge to seekhenge,
'Qais' ki ya 'Farhad' ki khaatir kholein kya school miyaan..
Ab to humein manzoor hai ye bhi shahar se niklen ruswa hon,
Tujh ko dekha baatein kar lin mehnat hui wasool miyaan,
'Insha' ji kya uzr hai tum ko naqd-e-dil-o-jaan nazr karo,
Roop-nagar ke naake par ye lagta hai mahsool miyaan.!!
"Ibn E Insha"
No comments:
Post a Comment