Monday, June 4, 2018

Arsh Ke Taare Tod Ke Laayen Kaawish Log Hazaar Karein

Arsh ke taare tod ke laayen kaawish log hazaar karein,

'Meer' ki baat kahaan se paayen aakhir ko iqraar karein..

Aap ise husn-e-talab mat samjhein na kuchh aur shumaar karein,

Sheyr ek 'Meer' faqeer ka hum jo aap ke gosh guzaar karein..

Aaj humare ghar aaya lo kya hai jo tujh pe nisaar karein,

illa kheench baghal mein tujh ko der talak hum pyaar karein..

Kab ki humare ishq ki naubat qais se aage ja pahunchi,

Rasman log abhi tak us marhoom ka zikr azkaar karein..

Durj-e-chashm mein ashk ke moti le jaane hain un ke huzoor,

Chokha rang lahu ka de kar aur unhein shahwaar karein..

Deen o dil o jaan sab sarmaaya jis mein apna sarf hua,

Ishq ye karobaar nahin kya aur jo karobaar karein..

Jitne bhi dil-reesh hain us ke sab ko naame bhej bula,

Us be-mehr wafa dushman ki yaadon ka darbaar karein.!!

"Ibn E Insha"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...