Monday, June 4, 2018

Dekh Humari Deed Ke Kaaran Kaisa Qaabil-e-deed Hua

Dekh humari deed ke kaaran kaisa qaabil-e-deed hua,
Ek sitara baithe baithe taabish mein khursheed hua..

Aaj to jaani rasta takte shaam ka chaand padeed hua,
Tu ne to inkaar kiya tha dil kab na-ummeed hua..

Aan ke is beemar ko dekhe tujh ko bhi taufeeq hui,
Lab par us ke naam tha tera jab bhi dard shadeed hua..

Haan us ne jhalki dikhlaai ek hi pal ko dareeche mein,
Jaano ek bijli lahraai aalam ek shaheed hua..

Tu ne hum se kalaam bhi chhorha arz-e-wafa ke sunte hi,
Pahle kaun qareeb tha hum se ab to aur baeed hua..

Duniya ke sab kaaraj chhorhe naam pe tere 'Insha' ne,
Aur use kya thorhe ghum the tera ishq mazeed hua.!!

"Ibn E Insha"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...