Friday, June 1, 2018

Dayaar-e-Daagh-o-Bekhud Shahar-e-dehli Chhod Kar Tujh Ko

Dayaar-e-'Daagh'-o-'Bekhud' shahar-e-dehli chhod kar tujh ko,

Na tha maloom yoon royega dil shaam-o-sahar tujh ko..

Kahaan milte hain duniya ko kahaan milte hain duniya mein,

Hue the jo ata ahl-e-sukhan ahl-e-nazar tujh ko..

Tujhe markaz kaha jaata tha duniya ki nigahon ka,

Mohabbat ki nazar se dekhte the sab nagar tujh ko..

Ba-qaul-e-'Meer' auraaq-e-musawwar the tere kooche,

Magar haye zamane ki lagi kaisi nazar tujh ko..

Na bhoolega humari dastaan tu bhi qayamat tak,

Dilayenge humari yaad tere rahguzar tujh ko..

Jo tere ghum mein bahta hai wo aansu rashk-e-gauhar hai,

Samajhte hain mata-e-deeda-o-dil deeda-war tujh ko..

Main 'Jalib'-dehlawi kahla nahin sakta zamane mein,

Magar samjha hai main ne aaj tak apna hi ghar tujh ko.!!

"Habeeb Jalib"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...