Dil ki baat labo'n par la kar ab tak hum dukh sahte hain,
Hum ne suna tha is basti mein dil waale bhi rahte hain..
Beet gaya saawan ka mahina mausam ne nazrein badli'n,
Lekin in pyasi aankhon se ab tak aansu bahte hain..
Ek humein aawara kahna koi bada ilzaam nahin,
Duniya waale dil waalon ko aur bahut kuchh kahte hain..
Jin ki khaatir shahar bhi chhoda jin ke liye badnaam hue,
Aaj wahi hum se begaane begaane se rahte hain..
Wo jo abhi is rahguzar se chaak-garebaan guzra tha,
Us aawara deewane ko 'Jalib' 'Jalib' kahte hain.!!
"Habeeb Jalib"
No comments:
Post a Comment