Dar-o-deewar pe hijrat ke nishaan dekh aayen,
Aao hum apne buzurgon ke makaan dekh aayen..
Aao bheegi hui aankhon se padhein nauha-e-dil,
Aao bikhre hue rishton ka ziyaa'n dekh aayen..
Toota toota hua dil le ke phirein galiyon mein,
Kachchi mitti ke khilaunon ki dukaan dekh aayen..
Raushni ke kahin aasaar to baaqi honge,
Aao pighli hui shammo'n ka dhuan dekh aayen..
Jin darakhton ke tale raqs-e-saba hota tha,
Sookhe patton ka barasna bhi wahaan dekh aayen..
Ab farishton ke siwa koi na aata hoga,
Kaun deta hai kharabon mein azaan dekh aayen..
Muddaton baad muhajir ki tarah aaye hain,
Rooth jaaye na khandar aao miyaan dekh aayen.!!
"Qaisar-ul-jafri"
No comments:
Post a Comment