Bhulata laakh hun lekin barabar yaad aate hain,
ilahi tark-e-ulfat par wo kyunkar yaad aate hain..
Na chhed ai hum-nasheen kaifiyat-e-sahba ke afsaane,
Sharaab-e-be-khudi ke mujh ko saaghar yaad aate hain..
Raha karte hain qaid-e-hosh mein ai waye-nakaami,
Wo dasht-e-khud-faramoshi ke chakkar yaad aate hain..
Nahin aati to yaad un ki maheenon tak nahin aati,
Magar jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain..
Haqeeqat khul gayi 'Hasrat' tere tark-e-mohabbat ki,
Tujhe to ab wo pahle se bhi badh kar yaad aate hain.!!
"Hasrat Mohani"
__________
Kaifiyat-e-sahba = condition of wine,
Waye-nakaami = woe for failure,
Dasht-e-khud-faramoshi = desert of self forgetfulness,
No comments:
Post a Comment