Saturday, June 23, 2018

Chahat Meri Chahat Hi Nahin Aap Ke Nazdeek

Chahat meri chahat hi nahin aap ke nazdeek,
Kuchh meri haqeeqat hi nahin aap ke nazdeek..

Kuchh qadr to karte mere izhaar wafa ki,
Shayad ye mohabbat hi nahin aap ke nazdeek..

Yoon ghair se bebaak ishaare sar-e-mahfil,
Kya ye meri zillat hi nahin aap ke nazdeek..

Ushshaaq pe kuchh had bhi muqarrar hai sitam ki,
Ya us ki nihayat hi nahin aap ke nazdeek..

Agli si na raatein hain na ghaatein hain na baatein,
Kya ab main wo 'Hasrat' hi nahin aap ke nazdeek.!!

"Hasrat Mohani"
__________

Nihayat = very much, limit, extreme,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...