Saturday, June 23, 2018

Bekali Se Mujhe Raahat Hogi

Bekali se mujhe raahat hogi,
Chhed dein aap inayat hogi..

Wasl mein un ke qadam choomenge,
Wo bhi gar un ki ijazat hogi..

Be-qaraari ke maze lootenge,
Aaj phir dard ki shiddat hogi..

Ek din khol ke ji ro lenge,
Zabt-e-ghum ki jo ijazat hogi..

Qissa-e-ghum na kahunga 'Hasrat',
Jaur ki un ke shikayat hogi.!!

"Hasrat Mohani"
__________

Jaur = violence, tyranny, oppression,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...