Bechaargi-e-hasrat-e-deedaar dekhna,
Mushkil na dekhna hai to dushwaar dekhna..
Lamhaat-e-intizaar ki raftaar dekhna,
Wo baar baar saaya-e-deewaar dekhna..
Yoon dekhna ke toote na rishta nigaah ka,
Ek baar dekhne mein wo sau baar dekhna..
Ya subah hi se shaam ka pur-kaif intizaar,
Ya shaam hi se subah ke aasaar dekhna..
Kya dil-fareb hai tere khwab-e-giraa'n ka husn,
Tujh se nihaa'n tere lab-o-rukhsaar dekhna..
Dard-e-firaaq ki sahar-e-awwalin 'Hafeez',
Uthte hi jaanib-e-dar-o-deewaar dekhna.!!
"Hafeez Hoshiyarpuri"
No comments:
Post a Comment