Be-sabab baat badhane ki zaroorat kya hai,
Hum khafa kab the manane ki zaroorat kya hai..
Aap ke dam se to duniya ka bharam hai qaayem,
Aap jab hain to zamane ki zaroorat kya hai..
Tera koocha tera dar teri gali kaafi hai,
Be-thikano'n ko thikane ki zaroorat kya hai..
Dil se milne ki tamanna hi nahin jab dil mein,
Haath se haath milane ki zaroorat kya hai.!!
"Shahid Kabeer"
No comments:
Post a Comment