Har aaine mein badan apna be-libaas hua,
Main apne zakhm dikha kar bahut udaas hua..
Jo rang bhar do usi rang mein nazar aaye,
Ye zindagi na hui kaanch ka gilaas hua..
Main kohsaar pe bahta hua wo jharna hun,
Jo aaj tak na kisi ke labo'n ki pyaas hua..
Qareeb hum hi na jab ho sake to kya haasil,
Makaan dono'n ka har-chand paas paas hua..
Kuchh is ada se mila aaj mujh se wo 'Shahid',
Ke mujh ko khud pe kisi aur ka qayaas hua.!!
"Shahid Kabeer"
No comments:
Post a Comment