Sunday, June 10, 2018

Bazm Se Jab Nigaar Uthta Hai

Bazm se jab nigaar uthta hai,
Mere dil se ghubaar uthta hai..

Main jo baitha hun to wo khush-qaamat,
Dekh lo baar baar uthta hai..

Teri surat ko dekh kar meri jaan,
Khud-bakhud dil mein pyaar uthta hai..

Us ki gul-gasht se rawish-ba-rawish,
Rang hi rang yaar uthta hai..

Tere jaate hi is kharabe se,
Shor-e-girya hazaar uthta hai..

Kaun hai jis ko jaan azeez nahin,
Le tera jaan-nisaar uthta hai..

Saf-ba-saf aa khade hue hain ghazaal,
Dasht se khaksaar uthta hai..

Hai ye tesha ke ek shoala sa,
Bar-sar-e-kohsaar uthta hai..

Karb-e-tanhaai hai wo shay ke khuda,
Aadmi ko pukaar uthta hai..

Tu ne phir kasb-e-zar ka zikr kiya,
Kahin hum se ye baar uthta hai..

Lo wo majboor shahr-e-sahra se,
Aaj deewana-waar uthta hai..

Apne yaan to zamane waalon ka,
Roz hi aitibaar uthta hai..

'Jaun' uthta hai yoon kaho yaani,
'Meer'-o-'Ghaalib' ka yaar uthta hai.!!

"Jaun Eliya"
__________

Nigaar = picture, portrait, idol, sweetheart,
Khush-qaamat = one who beautiful height,
Gul-gasht = walking in a garden, walk, parade,
Rawish-ba-rawish =
everywhere in garden,
Shor-e-girya = noise of crying,
Ghazaal = a young deer, a fawn, a young delicate person,
Khaksaar = humble, low, poor,
Kasb-e-zar = monetary acquirement, acquisition (by labour), earning, gain; industry, employment, occupation, trade,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...