Band baahar se meri zaat ka dar hai mujh mein,
Main nahin khud mein ye ek aam khabar hai mujh mein...
Ek ajab aamad-o-shud hai ke na maazi hai na haal,
'Jaun' barpa kayi naslo'n ka safar hai mujh mein...
Hai meri umr jo hairaan tamashaai hai,
Aur ek lamha hai jo zer-o-zabar hai mujh mein...
Kya tarasta hun ke baahar ke kisi kaam aaye,
Wo ek amboh ke bas khaak-basar hai mujh mein...
Doibne waalon ke dariya mujhe payaab mile,
Us mein ab doob raha hun jo bhanwar hai mujh mein...
Dar-o-deewar to baahar ke hain dhhaane waale,
Chaahe rahta nahin main par mera ghar hai mujh mein...
Main jo paikaar mein andar ki hun be-tegh-o-zirah,
Aakhirash kaun hai jo seena-sipar hai mujh mein...
Ma'arka garm hai be-taur sa koi har-dam,
Na koi tegh salamat na sipar hai mujh mein...
Zakhm-ha-zakhm hun aur koi nahin khoon ka nishaan,
Kaun hai wo jo mere khoin mein tar hai mujh mein.!!
"Jaun Eliya"
__________
Aamad-o-shud = coming and going,
Amboh = a crowd, multitude, mob,
Khaak-basar = living in dust,
Payaab = shallow, fordable, within man's depth,
Paikaar = battle, contest, war,
Be-tegh-o-zirah = without sword and shield,
Seena-sipar = with shield on chest,
Ma'arka = place or scene of battle or fight; field of battle; battle-ground; fight, strife,
Be-taur = without a method,
Sipar = a shield, bold, undaunted,
No comments:
Post a Comment