Sunday, June 10, 2018

Baja Irshaad Farmaya Gaya Hai

Baja irshaad farmaya gaya hai,
Ke mujh ko yaad farmaya gaya hai..

Inayat ki hain na-mumkin ummidein,
Karam ijaad farmaya gaya hai..

Hain ab hum aur zad hai haadso'n ki,
Humein aazaad farmaya gaya hai..

Zara us ki pur-ahwaali to dekhein,
Jise barbaad farmaya gaya hai..

Naseem-e-sabzgi the hum so hum ko,
Ghubaar-uftaad farmaya gaya hai..

Mubarak faal-e-nek ai khusraw-e-shahar,
Mujhe farhaad farmaya gaya hai..

Sanad bakhshi hai ishq-e-be-gharaz ki,
Bahut hi shaad farmaya gaya hai..

Saleeqe ko lab-e-fariyaad tere,
Ada ki daad farmaya gaya hai..

Kahaan hum aur kahaan husn-e-sar-e-baam,
Humein buniyaad farmaya gaya hai.!!

"Jaun Eliya"
__________

Baja = just/ appropriate,
Zad = target, range, blow, loss,
Pur-ahwaali = abounding in events/occurrences/accounts,
Naseem-e-sabzgi = gentle breeze of green,
Ghubaar-uftaad = Vexation of helplessness,
Faal-e-nek = good omen, augury,
Khusraw-e-shahar = King of city,
Sanad = a certificate, a testimonial, a diploma , Qualification,
Ishq-e-be-gharaz = selfless love,
Husn-e-sar-e-baam = beauty at a height,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...