Bahut dil ko kushada kar liya kya,
Zamane bhar se waada kar liya kya..
To kya sach much judaai mujh se kar li,
To khud apne ko aadha kar liya kya..
Hunar-mandi se apni dil ka safha,
Meri jaan tum ne saada kar liya kya..
Jo yaksar jaan hai us ke badan se,
Kaho kuchh istifaada kar liya kya..
Bahut katra rahe ho mughbacho'n se,
Gunah-e-tark-e-baada kar liya kya..
Yahaan ke log kab ke ja chuke hain,
Safar jaada-ba-jaada kar liya kya..
Uthaya ek qadam tu ne na us tak,
Bahut apne ko maanda kar liya kya..
Tum apni kaj-kulaahi haar baithin,
Badan ko be-libaada kar liya kya..
Bahut nazdeek aati ja rahi ho,
Bichhadne ka iraada kar liya kya.!!
"Jaun Eliya"
__________
Kushada = open, uncovered, expanded, spacious,
Yaksar = all at once, all together, entire,
Istifaada = to gain advantage, profit, gain,
Mughbacho'n = minor serving booze at the bar,
Gunah-e-tark-e-baada = sin of renouncing wine,
Jaada-ba-jaada = way after way,
Maanda = left overs,
Kaj-kalaahi = jaunty cap,
Be-libaada = without apparel;dress; naked,
No comments:
Post a Comment