Friday, June 1, 2018

Aur Sab Bhool Gaye Harf Sadaqat Likhna

Aur sab bhool gaye harf sadaqat likhna,
Rah gaya kaam humara hi baghawat likhna..

Laakh kahte rahein zulmat ko na zulmat likhna,
Hum ne seekha nahin pyare ba-ijaazat likhna..

Na sile ki na sataaish ki tamanna hum ko,
Haq mein logon ke humari to hai aadat likhna..

Hum ne jo bhool ke bhi shah ka qaseeda na likha,
Shayad aaya isi khoobi ki badaulat likhna..

Is se badh kar meri tahseen bhala kya hogi,
Padh ke na-khush hain mera saahab-e-sarwat likhna..

Dahr ke ghum se hua rabt to hum bhool gaye,
Sarw qaamat ko jawani ko qayamat likhna..

Kuchh bhi kahte hain kahin shah ke musaahib 'Jalib',
Rang rakhna yahi apna isi surat likhna.!!

"Habeeb Jalib"
__________

Saahab-e-sarwat = men of welath,
Sarw = Graceful,
Qaamat = tall, height,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...