Aag hai phaili hui kaali ghataon ki jagah,
Bad-duaen hain labon par ab duaon ki jagah..
Intikhaab-e-ahl-e-gulshan par bahut rota hai dil,
Dekh kar zaagh-o-zaghan ko khushnawaon ki jagah..
Kuchh bhi hota par na hote paara-paara jism-o-jaan,
Rahzan hote agar un rahnumaon ki jagah..
Lut gayi is daur mein ahl-e-qalam ki aabru,
Bik rahe hain ab sahaafi be-sawaon ki jagah..
Kuchh to aata hum ko bhi jaan se guzarne ka maza,
Ghair hote kaash 'Jalib' aashnaon ki jagah.!!
"Habeeb Jalib"
No comments:
Post a Comment