Apni hi rawani mein bahta nazar aata hai,
Ye shahar bulandi se dariya nazar aata hai..
Deta hai koi apne daaman ki hawa us ko,
Shoala sa mere dil mein jalta nazar aata hai..
Us haath ka tohfa tha ek daagh mere dil par,
Wo daagh bhi ab lekin jaata nazar aata hai..
Aankhon ke muqabil hai kaisa ye ajab manzar,
Sahra to nahin lekin sahra nazar aata hai..
Ek shakl si banti hai har shab meri neendon mein,
Ek phool sa khwabon mein khilta nazar aata hai..
Aankhon ne nahin dekhi us jism ki raanaai,
Ye chaar taraf jis ka saya nazar aata hai..
Dariya ko kinare se kya dekhte rahte ho,
Andar se kabhi dekho kaisa nazar aata hai..
Phir zau mein 'Nadeem' apni kuchh kam hai sitara wo,
Ye raat ka aaina dhundla nazar aata hai.!!
"Inam Nadeem"
No comments:
Post a Comment