Saturday, June 9, 2018

Dil Par Kisi Patthar Ka Nishaan Yoon Hi Rahega

Dil par kisi patthar ka nishaan yoon hi rahega,
Ta-umr ye shishe ka makaan yoon hi rahega..

Hum thehre rahenge kisi tabeer ko thaame,
Aankhon mein koi khwab rawaan yoon hi rahega..

Hai dhund mein dooba hua is shahar ka manzar,
Kya jaaniye kab tak ye samaan yoon hi rahega..

Kuchh der rahegi abhi bazaar ki raunaq,
Kuchh der ye hone ka gumaan yoon hi rahega..

Bujh jaayega ek roz teri yaad ka shola,
Lekin mere seene mein dhuaan yoon hi rahega..

Lau de to raha hai mere khwabon ke ufuq par,
Lekin ye sitara bhi kahaan yoon hi rahega.!!

"Inam Nadeem"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...