Saturday, June 9, 2018

Aankh Ne Dhokha Khaya Tha Ya Saya Tha

Aankh ne dhokha khaya tha ya saya tha,
Wo khidki mein aaya tha ya saya tha..

Darwaze ke peechhe ek parchhaai thi,
Us ne haath hilaya tha ya saya tha..

Ek lakeer dhuen ki thi ya khushbu ki,
Rang koi lahraya tha ya saya tha..

Abhi jo mere paas tha shayad apna tha,
Shayad koi paraya tha ya saya tha..

Neend se jaaga hun to baitha sochta hun,
Khwab mein us ko paaya tha ya saya tha.!!

"Inam Nadeem"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...