Agar wo mil ke bichhadne ka hausla rakhta,
To darmiyaan na muqaddar ka faisla rakhta..
Wo mujh ko bhool chuka ab yaqeen hai warna,
Wafa nahin to jafaon ka silsila rakhta..
Bhatak rahe hain musafir to raaste gum hain,
Andheri raat mein dipak koi jala rakhta..
Mahak mahak ke bikharti hain us ke aangan mein,
Wo apne ghar ka dareecha agar khula rakhta..
Agar wo chaand ki basti ka rahne waala tha,
To apne saath sitaron ka qaafila rakhta..
Jise khabar nahin khud apni zaat ki 'Zareen',
Wo doosron ka bhala kis tarah pata rakhta.!!
"Iffat Zareen"
No comments:
Post a Comment