Wednesday, June 6, 2018

Us Ki Ek Duniya Hun Main Aur Meri Ek Duniya Hai Wo

Us ki ek duniya hun main aur meri ek duniya hai wo,
Dasht mein tanha hun main aur shahar mein tanha hai wo..

Main bhi kaisa aaina hun aaina-dar-aaina,
Door tak chehra-ba-chehra bas nazar aata hai wo..

Us ki khushbu se mahak kar phool ban jaata hai dil,
Mausam-e-gul ki tarah aata hai wo jaata hai wo..

Zindagi apni musalsal chahaton ka ek safar,
Is safar mein baar-ha mil kar bichhad jaata hai wo..

Khwab kya hai ek khandar hai ye khandar kitna haseen,
Is khandar mein sair karne ke liye aata hai wo..

Main sarapa aarzu hun aarzu-e-na-tamaam,
Mujh ko har manzil se aage ki khabar deta hai wo..

Husn kya hai ek ghazal hai 'Ashk' ek taaza ghazal,
Jam hai meena hai wo saaghar hai wo sahba hai wo.!!

"Ibrahim Ashk"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...