Wednesday, June 6, 2018

Ajeeb Karb-e-musalsal Dil-o-nazar Mein Raha

Ajeeb karb-e-musalsal dil-o-nazar mein raha,
Wo raushni ka musafir andhere ghar mein raha...

Wo chaandni ka muraqqaa nahin tha jugnu tha,
Charaagh ban ke jala aur shajar shajar mein raha...

Kahawaton ki tarah wo bhi shahar-e-maani tha,
Bujha bujha sa diya jo kisi khandar mein raha...

Wo jis ko khoj saraabon mein thi samandar ki,
Wo apne dasht-e-dil-o-jaan ki rahguzar mein raha...

Wahi to naqsh-e-qadam the jo saare mit te gaye,
Wo daagh-e-sajda tha baaqi jo sang-e-dar mein raha...

Yahi tilism tha 'Zareen' jise na tod saki,
Wajood us ka to taqdeer ke bhanwar mein raha.!!

"Iffat Zareen"
__________

Karb-e-musalsal = Continuous agony,
Muraqqaa = album, portfolio,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...