Wednesday, June 6, 2018

Aane Waale Jaane Waale Har Zamane Ke Liye

Aane waale jaane waale har zamane ke liye,
Aadmi mazdoor hai raqhein banane ke liye...

Zindagi firdaus-e-gum-gashta ko pa sakti nahin,
Maut hi aati hai ye manzil dikhane ke liye...

Meri peshaani pe ek sajda to hai likkha hua,
Ye nahin maloom hai kis aastaane ke liye...

Un ka waada aur mujhe us par yaqeen ai hum-nasheen,
Ek bahana hai tadapne tilmilane ke liye...

Jab se pahra zabt ka hai aansuon ki fasl par,
Ho gayin mohtaaj aankhein daane daane ke liye...

Aakhiri ummid waqt-e-naz'a un ki deed thi,
Maut ko bhi mil gaya fiqra na aane ke liye...

Allah Allah dost ko meri tabaahi par ye naaz,
Su-e-dushman dekhta hai daad pane ke liye...

Nemat-e-ghum mera hissa mujh ko de de ai khuda,
Jama rakh meri khushi saare zamane ke liye...

Nuskha-e-hasti mein ibrat ke siwa kya tha 'Hafeez',
Surkhiyan kuchh mil gayin apne fasaane ke liye.!!

"Hafeez Jalandhari"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...