Wednesday, June 6, 2018

Aashiq Sa Bad-naseeb Koi Doosra Na Ho

Aashiq sa bad-naseeb koi doosra na ho, 
Ma'ashooq khud bhi chaahe to us ka bhala na ho..

Hai muddaa-e-ishq hi duniya-e-muddaa,
Ye muddaa na ho to koi muddaa na ho..

Ibrat ka dars hai mujhe har surat-e-faqeer,
Hota hai ye khyaal koi baadshah na ho..

Payaan-e-kaar maut hi aai ba-ru-e-kaar,
Hum ko to wasl chahiye koi bahana ho..

Mere azeez mujh ko na chhodenge qabr tak,
Ai jaan intizaar na kar tu rawaana ho..

Kaabe ko ja raha hun nigaah su-e-dair hai,
Hir-phir ke dekhta hun koi dekhta na ho.. 

Haan ai 'Hafeez' chhedta ja naghma-e-hayat,
Jab tak tera raubaab-e-sukhan be-sada na ho.!!

"Hafeez Jalandhari"
__________

Payaan-e-kaar = completion of work,
Ba-ru-e-kaar = completion of work,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...