Wednesday, June 6, 2018

Aa Hi Gaya Wo Mujh Ko Lahad Mein Utaarne

Aa hi gaya wo mujh ko lahad mein utaarne,
Ghaflat zara na ki mere ghaflat-shiaar ne..

O be-naseeb din ke tasawwur se khush na ho,
Chola badal liya hai shab-e-intizaar ne..

Ab tak aseer-e-daam-e-fareb-e-hayat hun,
Mujh ko bhula diya mere parwardigaar ne..

Nauha-garon ko bhi hai gala baithne ki fikr,
Jaata hun aap apni ajal ko pukaarne..

Dekha na karobaar-e-mohabbat kabhi 'Hafeez',
Fursat ka waqt hi na diya karobaar ne.!!

"Hafeez Jalandhari"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...