Wednesday, June 6, 2018

Zehn O Dil Ke Faasle The Hum Jinhein Sahte Rahe

zehn o dil ke faasle the hum jinhein sahte rahe,
Ek hi ghar mein bahut se ajnabi rahte rahe..

Door tak saahil pe dil ke aablon ka aks tha,
Kashtiyan sholon ki dariya mom ke bahte rahe..

Kaise pahunche manzilon tak wahshaton ke qaafile,
Hum saraabon se safar ki dastaan kahte rahe..

Aane waale mausamon ko taazgi milti gayi,
Apni fasl-e-aarzu ko hum khizaa'n kahte rahe..

Kaise mit payengi 'Zareen' ye hadein afkaar ki,
Toot kar dil ke kinaare door tak bahte rahe.!!

"Iffat Zareen"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...