Wednesday, May 16, 2018

Zulf-e-barham Sambhaal Kar Chaliye

Zulf-e-barham sambhaal kar chaliye,
Raasta dekh-bhaal kar chaliye,

Mausam-e-gul hai apni baanhon ko,
Meri baanhon mein daal kar chaliye,

May-kade mein na baiyhiye taaham,
Kuchh tabiyat bahaal kar chaliye,

Kuchh na denge to kya ziyaa'n hoga,
Harj kya hai, sawaal kar chaliye,

Hai agar qatl-e-aam ki niyyat,
Jism ki chhab nikaal kar chaliye,

Kisi naazuk-badan se takra kar,
Koi kasb-e-kamaal kar chaliye,

Ta dupatta na lijiye sar par,
Ya dupatta sambhaal kar chaliye,

Yaar dozakh mein hain muqeem 'adam',
Khuld se intiqaal kar chaliye.!!

"Abdul Hameed Adam"
_____
Taaham = however,
Ziyaa'n = loss, damage, injury,
Kasb-e-kamaal = Gaining; acquisition; perfection,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...