Wednesday, May 16, 2018

Zakhm Dil Ke Agar Siye Hote

Zakhm dil ke agar siye hote,
Ahl-e-dil kis tarah jiye hote,

Wo mile bhi to ek jhijhak si rahi,
Kaash thodi si hum piye hote,

Aarzu mutmaeen to ho jaati,
Aur bhi kuchh sitam kiye hote,

Lazzat-e-ghum to bakhsh di us ne,
Hausle bhi 'Adam' diye hote.!!

"Abdul Hameed Adam"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...