Zaman-e-hijr mite daur-e-wasl-e-yaar aaye,
Ilahi ab to khizaa'n jaaye aur bahaar aaye..
Sitam-zareefi-e-fitrat ye kya mu'amma hai,
Ke jis kali ko bhi soonghun main bu-e-yaar aaye..
Chaman ki har kali aamada-e-tabassum hai,
Bahaar ban ke meri jaan-e-nau-bahaar aaye..
Hain tishna-kaam hum un baadalon se poochhe koi,
Kahaan bahaar ki pariyon ke takht utaar aaye..
Tere khyaal ki be-taabiyan maaz-Allah,
Ke ek baar bhulayen to laakh baar aaye..
Wo aayen yun mere aaghosh-e-ishq mein 'Akhtar',
Ke jaise aankhon mein ek khwab-e-be-qaraar aaye.!!
"Akhtar Shirani"
_____
Zaman-e-hijr = time of separation,
Sitam-zareefi-e-fitrat = oppression/tyranny of temperament/nature,
Mu'amma = riddle, puzzle, enigma,
No comments:
Post a Comment